Jin wo wahid makhlooq hey jis ney insaan ko sajda karney sey inkaar kya tha.Phir isey mohlat di gai k apna behtar hona sabit karey.Qayamat tak isey waqt dya gaya.Aur insaan ki tarah isey bhi dunya maiN aana para.
Quran o hadees sey sabit hey k shetan (Jin) shar phelata hey.Lekin iss k tariqa e wardaat sey agha rehna ziada tar zaroori nahi samjha jata.

Bey had zaroori hey k hum apney azli dushman ko pehchan laiN.......Apni rooh ki pehchan oss waqat tak mumkin nahi jab tak apney wahid dushman k barey maiN maloom na ho.
Shetan ek jin hey magar ye male hey ya female?
Shetan borai phela raha hey aur hadees k mutabiq jab tak Allah Allah karney wala ek bhi shakhs dunya maiN hey qayamat nahi aiey gi...to kya shetan khud neki ko mita kar qayamat ko qareeb la raha hey?
Sab sey pehla marhala shetan ko pehchanney ka ye hey k wo kis waqt hamarey jism maiN male/female ki soorat maiN aata hey......!(Hamara jism shetan k liey ek ghar ki tarah hey aur iss maiN rehney waley shetan ko hum pehchan saktey heN.Jab ye 4 kaam right hand sey hoN to jismmaiN mojod jin "Female" hey:

-Taharat yani astanja etc
-Naak saaf karna
-PaoN dhona aur khilal
-Joota othana
Aur jab yehi 4 kaam left hand sey hoN to jism maiN mojod shetan male hey.
Hamarey jismmaiN rehney wala shetan hamari marzi ka bhi ho sakta hey........yani male aur female ki pehchan k baad jisey aap ka zehan ijazat dey wo jism maiN mojod rahey ga....jab tak hamari ijazat ho gi.