Quotes Hazrat ALI





_______________________XXX_________________________

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye
ussey mana lena chahiyeh kyun ke
tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein
chun liye jatey hein
-Hazrat Imam Ali (AS).


Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai
-Hazrat Imam Ali (AS).


Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin
balkey be-naqaab ho jatey hein
-Hazrat Imam Ali (AS).


Din ki roshni mein rizq talash karo aur
Raat ki tareeqi mein usse talash karo
jo tumhein rizq deta hai
-Hazrat Imam Ali (AS)


Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day,
Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey
aur tum usse zaberdasti apna banana chaho,
ye tumhare nafs ki zillat hai
-Hazrat Imam Ali (AS).


Insaan dukh nahin deta, insaanoun say
wabasta umeedein dukh deti hein
-Hazrat Imam Ali (AS).


Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao
warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke
koi haqeeqat mein tumhara ban jaye
-Hazrat Imam Ali (AS).


Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to
Uss waqt 5 jumley kehta hai


1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeet tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun
-Prophet Muhammad PBUH.



Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona
tum par Allah ki inayat hai
-Hazrat Imam Hussain (AS)


Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein
musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai
-Hazrat Imam Ali (AS).


Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai
kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga
-Hazrat Imam Ali (AS).




Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho,
Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho
-Hazrat Imam Ali (AS).




Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai..
seep ussey moti bana deta hai,
saanp ussey zehr bana deta hai..
jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq
-Hazrat Imam Ali (AS).

One thing that is better not expressed
even if it is true, is a man's praise for himself
-Hazrat Imam Ali (AS).

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein:
1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna
-Hazrat Imam Ali (AS).


Koshish karo ke tum dunya mein raho
dunya tum mein na rahey kyun ke
kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai
lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai
-Hazrat Imam Ali (AS).


Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao
jis ne tumhein bolna sikhaya
-Hazrat Imam Ali (AS).


Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai
ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye
yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai..
tu waisa he hai jaisa mein chahta hun..
bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
-Hazrat Imam Ali (AS).


5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo:


1. mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki
-Hazrat Imam Ali (AS).


3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein


1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna
-Hazrat Imam Ali (A.S).

6 cheezein amal ko zaya karti hein:


1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6. Zulm
-Hazrat Imam Ali (AS)

A friend cannot be considered a friend
unless he is tested on three occasions


1. At the time of need
2. Behind your back
3. After your death
-Hazrat Imam Ali (AS)


Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga
-Hazrat Imam Ali (AS)


Reference:
Collected From Nahjul Balagha Book by Hazrat Ali A.S
and Translated into Urdu

_______________________XXX_________________________
  1. Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
  2. Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.
  3. Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy
  4. Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
  5. Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
  6. Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
  7. Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
  8. Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
  9. Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa "Zarf" waisi Uss ki "Takhleeq"
  10. Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.
  11. Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.
  12. Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
  13. Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay
  14. Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain
  15. Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi
  16. Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay
  17. Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi
  18. Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.
  19. Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay
  20. Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay
  21. Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.
  22. Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain
  23. Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti...
  24. Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay
  25. Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay
  26. Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay
  27. Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain
  28. Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se
  29. Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.
  30. Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy
  31. Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai
  32. AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya ... tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare
  33. Agar kisi ka BANNA chatay ho to puri HAQEQAT se ban jao… Warna,apni Zaat mein aisi HAQIQAT peda kar lo k,koi HAQIQAT main tumhara ban jaye.
  34. Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khobiyon mein izafa kary.
  35. Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do. Woh alaa zaraf hua to ap ko aur izat day ga aur kam zaraf hua to khud ko AALA ZARAF samjhey ga.
  36. "Bura Dost Aag Ki Manind Hy" "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega" "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"
  37. Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota hon k is main meri marzi hai aur Jub kabol na ho tu mein aur khus hota hon k ye ALLAh ki marzi hai
  38. Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
  39. Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
  40. K Yeh Ebadat Nahe Tijarat Hay
  41. Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta, K yeh Ebadat Nahe Ghulami Hai...Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...K Mera RuB ebadat K Qabil Hai.......
  42. Bay shak dunya or akhrat ki misal aisay hy jaisay 1 shaks ki 2 wifes hon 1 ko razi karta hay to dosri roth jati ha
  43. Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho Aur us se bhi Zyada Kamzor Wo hy Jo Haath aaiy howe DOST ko ganwa dy
  44. 2 cheezein saari zindagi kaam ayengi, 1 Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo! 2 Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
  45. Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy, Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy. Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy..
  46. Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.
  47. Acha Dost Kitni Dafa He Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
  48. Kyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa He Kyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!
  49. "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..."
  50. kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.
  51. 4 Batain Ilm Ka Nichor Hain, 1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
  52. Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,Q: Qarib Kya Hai?A: QyamatQ: Or Qareeb Ter?A: Maut Q: Ajeeb Kya HAi? A: Duniya Q: Aur Ajeeb Tar? A: Talib-e-Duniya Q: Wajib Kya Hai? A; Toba Q : Or Wajib Tar? A: Gunah K Forun Bad Toba Q: Mushkil Kya Hai? A: Qaber Mein Utrna Q: Or Mushkil Tar?A: Amal K Bagair Utrna
  53. Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha: "Dost aur bhai main kya farq hai?"Aap ne farmaya:"Bhai sona (Gold) hai aur dost heera (Diamond) hai."Us aadmi ne kaha:"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyon tashbeeh di?" To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jaiy to woh kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
  54. "Jab Main Chahta Hoon Khuda Se Baat Karoon
  55. To Main NAMAZ Parhta Hoon. Aur Jab Main Chahta Hoon Ke Khuda Mujh Se Baat Kare To Main QURAN Parhta Hoon." "Hazrat Ali (R.A)"