Ek din bahut tez mausla dhaar baarish ho rahi thi, aasman mein chaaron taraf kaale kaale baadal chhaye huwe thay, goya ke din mein hi raat ka guman ho raha tha, rah rah kar baadal garzte aur ek saath aasman mein kayi bijliyan chamak jaatien, aisi bijliyan chamakti aur baadlon ke garj se ke haath paon sihar jaata. Hawa bhi aisi tez chal rahi thi ke toofan ke maanend tha, sadkon pe ek bhi log nahin chal rahe thay, aas paas ka elaaqa andhere mein doobta huwa lag raha thaa, hawa tez, mausla dhaar baarish, aasman mein kaale baadal aur rah rah kar cheekhti aur chamakti huwi bijliyon aur badalon ki gadgadahat se faza khaufnak lag raha tha.
Ek bus stop ke shed mein kuchh log baarish thamney ke intezaar kar rahey, kisi ko ghar jaana tha, kisi ko daftar, kisi ko market, per baarish ruk hi nahin rahi thi, mausladhar baarish jaari thi, aapas mein logon no mashware kiye, kuchh log gunahon ko yaad kiye, aur natija yeh nikla ke sabhi log aapas mein confess karen, Allah ta’ala se apne pichhle gunahon ki maafi maange, tauba isteghfar karen, yeh gunah ke baes hi ham logon ko yeh saza mili rahi hai ke ghanton yehan bus stop mein khadey hain aur baarish ruk nahin rahi hai.
“Thik hai aisa karte hain ham log baari baari se sadak pe jaa ker 5 minute tak bheegte hain.
“ ek aadmi ne cofess karne ka tariqa bataya.
“Haan thik hai…” shed mein khade log razi ho gaye, ke bheegne se gunaah dhool jayega.
Sabse pehle ek budha shakhs shed se bahar nikla aur baarish mein bheegte rahe, bijli chamkti to budha kaanp jaata, baadal garjtey to wo saham jata, 5 minute tak bheegne ke baad shed mein wapis aa gaye. Phir adher umr ka ek aadmi 5 minute tak bheega, phir jawan gaya, aurtein thein unki bhi baari aayi wo bhi 5-5 minute tak baarish mein bheeg kar shed mein wapis aa gayien, iss tarah se sabki baari khatm ho gayi, lekin baarish nahin thami. Ab bhi ussi tez se baarish ho rahi thi, ab bhi cheekhti aur kaale kaale baadlon ko chirti huwi bijliyan chamak rahi thein.
Shed mein ek chhota sa 7-8 saal ka bachha tha, shayad khelte khelte qarib ke park se yehan aa gaya tha. Sab logon ne kaha lagta hai sab se bada gunahgaar yeh ladka hai tabhi to ham logon ke bheegne ke baad bhi baarish nahin ruki,
“Ae chal jaa baarish mein bheeg…
” ek aadmi ne kaha, bachcha rone laga, tabhi ek aadmi ne peechhey se bachhe ko dhakka dete huwe kaha “Jaldi jao…”
Bachcha sadak pe khada ho kar baarish mein bheegney laga, wo rotey rotey baarish mein bheeg raha tha, abhi 2 minute hi huwa tha ke aasman mein ek tez bijli chamki aur chirta huwa bajr uss shed pe gira.
Ek khamoshi….
Sab log mar gaye, sirf wo bachcha bach gaya.
Moral: Allah swt ta’ala ka irshaad hai ke jab taks zameen per ek bhi aadmi nek hoga qayamat nahin hogi, uss shed mein ab tak uss nek bachchey ke waste wo log bachey thay, jaisi hi wo nek bachcha alag huwa ke Allah swt ne unn gunahgaron ko halak kar diya. Aayie ham log bhi imaan wala baney. Ameen
No comments:
Post a Comment