Dahej ek lanat, Dahje muashre me bigad, Dahej gareeb maa baap ki barbadi, Dahej masoom ladkion ki khudkushi, Dahej tabahi
Aap loog sochte honge ki ham Dahej ko itna bahayanak kyun bata rahe hain to aise sochne wale bohot kam hi haqeeqat ko jante honge unhone ye to news kabhi kabhar suna hoga ya kisi dost se k Dahej ki wajhe se ye hadsa hua wo hadsa hua kabhi ankhon se nahi dekha hoga na kabhi khud par beeti hogi
Hamne jahan tak dekha hai is forum me ya aur bhi dusri sites par zyadatar loog wo hi aate hain jo upper middle class k hote ya to phir paise wale ya kamse kam aise loog hote hain jinko aap gareeb nahi kehsakte
To aise logon ko duniya ki mushkilat masaib ka samna kuch kam hi milta hai haan unki bhi pareshaniya hoti hain lekin jo gareeb ek aam aadmi jhelta hai usko ham tasawwur bhi nahi karsakte
Hamne apni ankhon se aise hairat me dalne wale waqaya dekhen jo bayan nahi karsakte ham khud ek social organization me kaam kar chuken hain galli kucha ek ek ghar ka survey karte the to inke aise halat se ache se waqif hain aur khud ham par bhi aise masaib k pahad toote hain
Almuheem Quran aur Hadees k jo hi khilaf jayega usko isse do chaar hona hi padega…..
Ab ahem muazu ki taraf aate hain Islam me dahej ki kya haqeeqat hai kya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hamare nabi hain rausl hain rehnuma hain qudwa hain ideal hain unki pairvi se hi jannat milsakti hai unki itaat se hi Allah razi hota hai to kya unhone dahej liya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne 11 shadian ki kisi ek se bhi apne dahej liye gaur Karen doston agar kisi k paas koi daleel hai to pesh Karen aur apke baad apke sahaba khulafaye rashideen ne bhi ek se zyada shadian ki kisi ne dahej liye nahi aap puri tareeq utha kar dekhen aur unhone apni betion ki bhi shadian ki ya kisi ko dahej diye Allah k liye faur Karen sochen apni islah Karen muashre ki islah Karen
Allah ki kitab kya kehti hai
An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 4
And give unto the women (on marriage) their dower (Mahr), ( whom ye marry ) free gift of their marriage portions ; but if they of their own accord remit unto you a part thereof , then ye are welcome to absorb it ( in your wealth ) .
An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 24
Also (prohibited are) women already married, except those whom your right hands possess: Thus hath Allah ordained (Prohibitions) against you: Except for these, all others are lawful, provided ye seek (them in marriage) with Mahr (dower, a bridal money given by the husband to his wife at the time of marriage) from your property,- desiring chastity, not lust, seeing that ye derive benefit from them, give them their dowers (at least) as prescribed; but if, after a dower is prescribed, agree mutually (to vary it), there is no blame on you, and Allah is All-knowing, All-wise.
Al-Baqara (2) Ayat (verse) No.: 236
'Women are lawful to you….provided that you take them in marriage and not fornication. As to those through whom you profit (through marriage), give them their faridah as appointed.' (Al Quran)
Al-Maidah (5) Ayat (verse) No.: 5
The same applied when marrying Jewish or Christian women (5:5). If a Muslim man married someone 'whom his right hand possessed' (ie a slave or prisoner of war), the mahr was to grant her freedom and other payment was not required.
Hadeeson par nazar dalte hain
In the first era of Islam marriage was a simple affair, without pomp or ceremony. Any expenditure incurred in its performance was quite minimal, and not a burden on either family. Indeed, the Prophet stated: 'the most blessed marriage is one in which the marriage partners place the least burden on each other.' (al-Haythami, Kitab ab-Nikah, 4:255).
The Prophet gave each of his wives a payment of mahr, ranging from token sums, the granting of freedom from slavery when being made a wife, to the payment of 400-500 dirhams. His wife Umm Habibah's mahr consisted of 4000 dirhams, this sum having been fixed by Najashi, the Negus (a Christian ruler) of Abyssinia. (Abu Dawud, Kitab an-Nikah, 2:235).
In a famous case, the second Caliph, Umar b. al-Khattab, once gave a public sermon in which he asked the congregation to refrain from fixing heavy mahrs, and stated that the Prophet had declared no-one should give more than 400 dirhams. A woman immediately stood up and challenged him, quoting the verse 4:20 from the Qur'an:'But if you decide to take a wife in place of another, even if you had given the first a heap of gold (quintar) for a dowry, you shall not take the least bit back.' Umar went back to the minbar and withdrew his words stating 'the woman is right, and Umar is wrong. Whoever wishes may give as much property as he wishes to give.' (Ibn Hajar al-Athqalani, Fath al-Bari, 9:167).
In tamaam Qurani aayat aur ahadees se wazeh hota hai k shadi ek sadgi ka naam hai shadi se muashra sudharta hai do khandan aabad hote hain nayi nasl ki shuruat hoti hai aur aisi koi aayat nahi na hi hadees hai jisme hai k ladki ko dahej dena chahiye sare dalail cheekh cheekh kar keh rahe hain ki ladke ko mahr dena chahiye Allah k farman bhi Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ka qaul bhi aur sahaba ikram ki jamat bhi
Ham kahan hain kya sach me ham musalman hain kya sach me ham islam ko manne wale hain har mamle me hamne islam ki taleemat ko chor rakha hai
Ab aayiye us baat ki taraf jo ye jhoota dawa karte hain aur isse hi samaj me bigad phaila dahej ka…. Wo ye k Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ne Hazrat Fatima r.a ko dahej diya, ye Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam par tohmat hai aur isko darr na chahiye Allah se uske azaab se aur loog jo is wahem me mubtila hain unko tahqeeq karna chahiye adhi taqleed gumrahi hai,
is haqeeqat par nazar dalte hain
Hadees is tarah se hai
Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam k paas Abu Bakar siddiqe r.a, Umar farooq r.a, Usman gani r.a aate hain aur Ali r.a k nikah k bare me baat rakhte hain aur Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam puchte hain kya Ali razi hain to kehte hain haan wo razi hain to phir baat tai huyi jab Hazrat Ali r.a samne aaye to Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ne pucha Ali apke paas Fatima ko dene maher me kya hai to Ali r.a kehte hain Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam main to bachpan se apke paas raha hun mere paas to kuch bhi nahi haan jung e badar me ye zira mujhe mili thi ek talwar aur dhal to Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam kaha talwar aur dhal to kaam aayegi isko rakhlo aur ye zira bech kar iski keemat leke aau yehi apka maher hoga aur ussi se apka Nikah hoga, phir Ali r.a gaye bechne Usman r.a k paas wo us zira ko khareed liye 400 dinar me phir unse kaha kya ab main is zira ko kise bhi dedun Ali r.a ne kaha ab ye apka hai aap jo chahen Karen to Usman r.a ne Ali ko hi wo tohfeh me dedi phir Ali r.a Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam jakar sab bayan kiye phir Aapne unse wo paise lekar unka maher tai kiya aur ussi paison se do chakhiyan lin, ek chatai li, aur ek sahabi k makan me apka intezam kiya aur kuch khane pakane ki cheezon ko bhi Apne kharid kar diya wo isliye k Ali r.a shuru se hi Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam k paas rehte the to unke paas koi saman nahi tha to inhi ki zira bech kar inhe k paison me se liya gaya hai….subhan Allah
referrence : Tabqat ibn saad, al jalalain, tariq ul tabri, ibn hisham, sahi muslim aur sahi bukhari (baab Al Nikah me puri tafseel maujood hai )
To iski asal shakal ye hain jisko zalimon ne badha chara kar todh madhod kar aaj pure samajh ko bigad diya hai hinduon ki rasmo ko apne zindagion me utar liye hain
Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
Aap loog sochte honge ki ham Dahej ko itna bahayanak kyun bata rahe hain to aise sochne wale bohot kam hi haqeeqat ko jante honge unhone ye to news kabhi kabhar suna hoga ya kisi dost se k Dahej ki wajhe se ye hadsa hua wo hadsa hua kabhi ankhon se nahi dekha hoga na kabhi khud par beeti hogi
Hamne jahan tak dekha hai is forum me ya aur bhi dusri sites par zyadatar loog wo hi aate hain jo upper middle class k hote ya to phir paise wale ya kamse kam aise loog hote hain jinko aap gareeb nahi kehsakte
To aise logon ko duniya ki mushkilat masaib ka samna kuch kam hi milta hai haan unki bhi pareshaniya hoti hain lekin jo gareeb ek aam aadmi jhelta hai usko ham tasawwur bhi nahi karsakte
Hamne apni ankhon se aise hairat me dalne wale waqaya dekhen jo bayan nahi karsakte ham khud ek social organization me kaam kar chuken hain galli kucha ek ek ghar ka survey karte the to inke aise halat se ache se waqif hain aur khud ham par bhi aise masaib k pahad toote hain
Almuheem Quran aur Hadees k jo hi khilaf jayega usko isse do chaar hona hi padega…..
Ab ahem muazu ki taraf aate hain Islam me dahej ki kya haqeeqat hai kya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hamare nabi hain rausl hain rehnuma hain qudwa hain ideal hain unki pairvi se hi jannat milsakti hai unki itaat se hi Allah razi hota hai to kya unhone dahej liya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne 11 shadian ki kisi ek se bhi apne dahej liye gaur Karen doston agar kisi k paas koi daleel hai to pesh Karen aur apke baad apke sahaba khulafaye rashideen ne bhi ek se zyada shadian ki kisi ne dahej liye nahi aap puri tareeq utha kar dekhen aur unhone apni betion ki bhi shadian ki ya kisi ko dahej diye Allah k liye faur Karen sochen apni islah Karen muashre ki islah Karen
Allah ki kitab kya kehti hai
An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 4
وَآتُواْ النَّسَاء صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً فَإِن طِبْنَ لَكُمْ عَن شَيْءٍ مِّنْهُ نَفْساً فَكُلُوهُ هَنِيئاً مَّرِيئاً
And give unto the women (on marriage) their dower (Mahr), ( whom ye marry ) free gift of their marriage portions ; but if they of their own accord remit unto you a part thereof , then ye are welcome to absorb it ( in your wealth ) .
An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 24
وَالْمُحْصَنَاتُ مِنَ النِّسَاء إِلاَّ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ كِتَابَ اللّهِ عَلَيْكُمْ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَاء ذَلِكُمْ أَن تَبْتَغُواْ بِأَمْوَالِكُم مُّحْصِنِينَ غَيْرَ مُسَافِحِينَ فَمَا اسْتَمْتَعْتُم بِهِ مِنْهُنَّ فَآتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةً وَلاَ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ فِيمَا تَرَاضَيْتُم بِهِ مِن بَعْدِ الْفَرِيضَةِ إِنَّ اللّهَ كَانَ عَلِيماً حَكِيماً
Also (prohibited are) women already married, except those whom your right hands possess: Thus hath Allah ordained (Prohibitions) against you: Except for these, all others are lawful, provided ye seek (them in marriage) with Mahr (dower, a bridal money given by the husband to his wife at the time of marriage) from your property,- desiring chastity, not lust, seeing that ye derive benefit from them, give them their dowers (at least) as prescribed; but if, after a dower is prescribed, agree mutually (to vary it), there is no blame on you, and Allah is All-knowing, All-wise.
Al-Baqara (2) Ayat (verse) No.: 236
لاَّ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ إِن طَلَّقْتُمُ النِّسَاء مَا لَمْ تَمَسُّوهُنُّ أَوْ تَفْرِضُواْ لَهُنَّ فَرِيضَةً وَمَتِّعُوهُنَّ عَلَى الْمُوسِعِ قَدَرُهُ وَعَلَى الْمُقْتِرِ قَدْرُهُ
'…the wealthy according to his means, and the straitened in circumstances according to his means. The gift of a reasonable amount is necessary from those who wish to act in the right way.' 'Women are lawful to you….provided that you take them in marriage and not fornication. As to those through whom you profit (through marriage), give them their faridah as appointed.' (Al Quran)
Al-Maidah (5) Ayat (verse) No.: 5
The same applied when marrying Jewish or Christian women (5:5). If a Muslim man married someone 'whom his right hand possessed' (ie a slave or prisoner of war), the mahr was to grant her freedom and other payment was not required.
Hadeeson par nazar dalte hain
In the first era of Islam marriage was a simple affair, without pomp or ceremony. Any expenditure incurred in its performance was quite minimal, and not a burden on either family. Indeed, the Prophet stated: 'the most blessed marriage is one in which the marriage partners place the least burden on each other.' (al-Haythami, Kitab ab-Nikah, 4:255).
The Prophet gave each of his wives a payment of mahr, ranging from token sums, the granting of freedom from slavery when being made a wife, to the payment of 400-500 dirhams. His wife Umm Habibah's mahr consisted of 4000 dirhams, this sum having been fixed by Najashi, the Negus (a Christian ruler) of Abyssinia. (Abu Dawud, Kitab an-Nikah, 2:235).
In a famous case, the second Caliph, Umar b. al-Khattab, once gave a public sermon in which he asked the congregation to refrain from fixing heavy mahrs, and stated that the Prophet had declared no-one should give more than 400 dirhams. A woman immediately stood up and challenged him, quoting the verse 4:20 from the Qur'an:'But if you decide to take a wife in place of another, even if you had given the first a heap of gold (quintar) for a dowry, you shall not take the least bit back.' Umar went back to the minbar and withdrew his words stating 'the woman is right, and Umar is wrong. Whoever wishes may give as much property as he wishes to give.' (Ibn Hajar al-Athqalani, Fath al-Bari, 9:167).
In tamaam Qurani aayat aur ahadees se wazeh hota hai k shadi ek sadgi ka naam hai shadi se muashra sudharta hai do khandan aabad hote hain nayi nasl ki shuruat hoti hai aur aisi koi aayat nahi na hi hadees hai jisme hai k ladki ko dahej dena chahiye sare dalail cheekh cheekh kar keh rahe hain ki ladke ko mahr dena chahiye Allah k farman bhi Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ka qaul bhi aur sahaba ikram ki jamat bhi
Ham kahan hain kya sach me ham musalman hain kya sach me ham islam ko manne wale hain har mamle me hamne islam ki taleemat ko chor rakha hai
Ab aayiye us baat ki taraf jo ye jhoota dawa karte hain aur isse hi samaj me bigad phaila dahej ka…. Wo ye k Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ne Hazrat Fatima r.a ko dahej diya, ye Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam par tohmat hai aur isko darr na chahiye Allah se uske azaab se aur loog jo is wahem me mubtila hain unko tahqeeq karna chahiye adhi taqleed gumrahi hai,
is haqeeqat par nazar dalte hain
Hadees is tarah se hai
Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam k paas Abu Bakar siddiqe r.a, Umar farooq r.a, Usman gani r.a aate hain aur Ali r.a k nikah k bare me baat rakhte hain aur Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam puchte hain kya Ali razi hain to kehte hain haan wo razi hain to phir baat tai huyi jab Hazrat Ali r.a samne aaye to Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ne pucha Ali apke paas Fatima ko dene maher me kya hai to Ali r.a kehte hain Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam main to bachpan se apke paas raha hun mere paas to kuch bhi nahi haan jung e badar me ye zira mujhe mili thi ek talwar aur dhal to Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam kaha talwar aur dhal to kaam aayegi isko rakhlo aur ye zira bech kar iski keemat leke aau yehi apka maher hoga aur ussi se apka Nikah hoga, phir Ali r.a gaye bechne Usman r.a k paas wo us zira ko khareed liye 400 dinar me phir unse kaha kya ab main is zira ko kise bhi dedun Ali r.a ne kaha ab ye apka hai aap jo chahen Karen to Usman r.a ne Ali ko hi wo tohfeh me dedi phir Ali r.a Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam jakar sab bayan kiye phir Aapne unse wo paise lekar unka maher tai kiya aur ussi paison se do chakhiyan lin, ek chatai li, aur ek sahabi k makan me apka intezam kiya aur kuch khane pakane ki cheezon ko bhi Apne kharid kar diya wo isliye k Ali r.a shuru se hi Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam k paas rehte the to unke paas koi saman nahi tha to inhi ki zira bech kar inhe k paison me se liya gaya hai….subhan Allah
referrence : Tabqat ibn saad, al jalalain, tariq ul tabri, ibn hisham, sahi muslim aur sahi bukhari (baab Al Nikah me puri tafseel maujood hai )
To iski asal shakal ye hain jisko zalimon ne badha chara kar todh madhod kar aaj pure samajh ko bigad diya hai hinduon ki rasmo ko apne zindagion me utar liye hain
Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
No comments:
Post a Comment