Hazrat Fatima (R.A) jo Aa'n Hazrat (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ki sahibzaadiyon men sab se kam sin theen, ab 18 bars ki ho chuki theen aur shaadi ke paigham ane lage the.
Hazrat Ali (R.A) ne jab darkhwast ki to Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne Hazrat Faatima (R.A) ki marzi daryaft ki. Wo chup raheen. Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne Hazrat Ali (R.A) se poocha ke
"Tumhare paas meher men dene ke liye kya hai?"
Jawab mila, "Kuch bhi nahi."
Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne farmaya, "Aur wo hatmiya zarrah kya hui?" (Jang-e-Badar men hath ayi thi)
Arz ki ke, "Wo to maujood hai."
Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne farmaya, "Bas wo kaafi hai."
Taqreeban sawa sau rupe ki maaliyat ki is zarrah ke ilawa Hazrat Ali (R.A) ke paas ek bhair ki khaal aur boseeda yamni chaadar thi.
Hazrat Ali (R.A) ne ye sab sarmaya Hazrat Fatima-tu-Zehra (R.A) ki nazar kiya. Hazrat Ali (R.A) ab tak Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) hi ke paas rehte the. Shaadi ke baad zarurat hui ke alag ghar len. Hazrat Haaris Bin Noman (R.A) ke bohut se ghar the jin men se wo kayi Aa'n-hazrat (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ko nazar kar chuke the. Hazrat Fatima ne Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) se kaha, "In hi se koi makan dilwa dijye."
Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne farmaya, "Kahan tak? Ab to un se kehte hue bhi sharam ati hai."
Hazrat Haris (R.A) ne suna to daure aye ke, "Hazur (Sallala Ho Alaihi Wasalam), men aur mere paas jo kuch hai, sab Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ka hai. Khuda ki qasam! Mera jo makan Ap (Sallala Ho Alaihi Wasalam) le lete hain, mujh ko is se ziada khushi hoti ke wo mere paas reh jaye."
Chunanche unho ne apna ek makan khaali kar diya. Hazrat Faatima (R.A) us men rihaish pazeer ho gayeen. Nabi Kareem (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne Sayyeda Aalm ko jo jahez diya, us men baan ki chaarpayi, chamrre ka gadda jis ke andar rui ke bajaye khajoor ke patte the, ek mashkeeza, ek chakki aur ek matti ka gharra tha.
Hazrat Fatima (R.A) jab naye ghar men abaad huin to Aa'n-hazrat (Sallala Ho Alaihi Wasalam) un ke paas tashreef laye.
Darwaze par kharre ho kar pehle andar ane ki ijazat chahi phir andar tashreef le aye. Ek bartan men paani mangwaya. Dono hath us men daale aur Hazrat Ali (R.A) ke seene aur baazuon par paani chirrka. Phir Hazrat Faatima (R.A) ko bulaya. Wo sharam se ghabraai si ayeen. Un par bhi paani chirrka aur farmaya, "Mene apne khaandan men sab se afzal shakhs se tumhara nikaah kiya hai."
Jazak-Allah
No comments:
Post a Comment